Thursday, July 28, 2011

sunaa voh shaKhs harjaai bahut hai!


sunaa voh shaKhs harjaai bahut hai! {q}
vohee, dil jis ka shaidaai bahut hai!

koi poochhe to maiN kaise bataaooN?
tabee'at us pe kyoN aai bahut hai!

rah-e-ulfat naheeN hai sehl, ai dil!
k. is meiN aablaa.paai bahut hai

use nisbat hi kyaa hai 'aashiqui se
voh, jis ko Khauf-e-rusvaai bahut hai!

haqaarat se sahi, dekhaa to us ne!
hameN itnee pazeeraai bahut hai!

hujoom-e-dostaaN meiN hooN akela!
bhari mehfil meiN tanhaai bahut hai!

muhabbat meiN Khushee se bhee hooN vaaqif
GhamoN se bhee shanaasaai bahut hai

voh kyoN haiN jaada`e-irfaaN se Ghaafil?
ba.zaahir jin meiN daanaai bahut hai!

yeh maana, naa.tavaaN hai jism mera
valekin dil meiN barnaai bahut hai!

jahaaN naqsh-e-kaf-e-paa us ka paaya
vaheeN par kee jabeeN.saai bahut hai

tareeq-e-'ishq meiN 'naadaaN' hai yaktaa
magar haaN, voh to saudaai bahut hai!

Wednesday, July 20, 2011

Raushan kuchch is tarah yeh dil-e-daaGh.daar ho

raushan kuchch is tarah yeh dil-e-daaGh.daar ho
tazkeer-e- shaan-o-satvat-e-parvardigaar ho

jis rah pe maiN chalooN, voh guzar.gaah-e-yaar ho
har mazhar us ke husn ka aa`eena.daar ho

yooN zindagi davaam miree pur.vaqaar ho
"meri jabeeN pe naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar ho"

taqleed-e-Haqq ka 'azm miraa ustuvaar ho!
dil ko sukoon, rooh ko paiham qaraar ho

jis dil ka 'ishq-e-yaar pe daar-o-madaar ho
naam us ka kyoN na phir bhala shehr-e-nigaar ho?

shauq-e-visaal -o- Khwaahish-e-taskeen-e-bandagi
mutlaq na in se dil kabhi Ghaflat.shi'aar ho!

us mai ka, jaane kab se hai, shiddat se intizaar
'uqbaa ka jis meiN kaif-o-suroor-o-Khumaar ho

fikr-e-qubooliyat ki zaroorat hi kis liye?
dast-e-du'aa ko chaahiye sargarm-e-kaar ho

aaye qazaa ka vaqt bhi, 'naadaaN', agar qareeb
lab par usee ka naam ba.sad iftiKhaar ho

Agarche dil baar baar TooTa*

agarche dil baar baar TooTa
Khayaal us kaa kabhi na chhooTa

thi jis ke zimme hifaazat apnee
usee ne ham ko hai aaj looTaa

'ayaaN haiN aaNkhoN se zaKhm dil ke
jahaaN se chashma lahoo ka phooTa

na tha voh kam roz-e-hashr se kuchch
voh roz, jab us ka saath chhooTa

voh sang hai hijr, jis se ham ko
har ek pal zindagi ne kooTa

yeh ab ke aayee bahaar kaisi?
na sabz patta, na gul, na booTa!

lage hai itnaa voh m'otabar kyoN
har ek va'ada hai jis ka jhooTa!

yeh saaz-e-hastee hai voh, k. jis meiN
nafas nafas kaa hai taar TooTa

huaa hai Khud hee se door 'naadaaN'
kisi ka daaman hai jab se chhooTa

Har aan nayaa zaKhm, na`ee seena.zani hai

har aan nayaa zaKhm, na`ee seena.zani hai
ai qahr-e-Gham-e-hijr, miri jaaN pe bani hai

andoh-o-mihan, ranj-o-alam, tuhmat-o-bohtaan
kyaa dil ki tijaarat meiN yahi aamdani hai?

jis shaKhs ko ik deed bhi teri ho mayassar
mas'ood hai, Khush.baKht hai, qismat ka dhani hai!

kartaa hai tiri baat ka yeh dil to bharosa
sabr.aazmaa lekin tiri paimaaN.shikani hai!

ik vasl ki hasrat hai, so voh dil meiN hai pinhaaN
us cheez ka kyaa zikr k. jo naa.shudani hai?

pazhmurda shajar, zard kalee, shaaKh bureeda
gulshan meiN 'ajab manzar-e-be.pairahani hai

us shehr ka saakin hooN jahaaN hasb-e-qavaaneen
jo taalib-e-haqq hai vohi gardan.zadani hai!

maiN shefta`e-Khaak-e-rah-e-qarya`e-jaanaaN!
duniyaa ko gumaaN yeh k. muhibb.ul.vatani hai!

kis tarh' asar laaiye har sh'er meiN 'naadaaN?'
"yeh kaar-e-suKhan silsila`e-Kohkani hai"

(na'atiya) Huaa hai ifshaa yeh raaz mujh par ...

huaa hai ifshaa yeh raaz mujh par, sabab hai kyaa dil ki bekali kaa
na jaane kis din milega mauq'a javaar-e-rehmat meiN haaziri kaa

unheeN* ki nisbat se ho rahaa hai yeh dar bhi vaa 'ilm-o-aagahi kaa
hayaat jin kee hai dars-e-ulfat, sabaq hai eesaar-o-bandagi kaa

Ghuroor hai jis ko maal-o-zar par, voh jis ko hai z'am Khusravi kaa
kabhee to un* kee galee meiN jaaye, mazaa to chakkhe gadaagari kaa

rumooz-e-haqq ke vohi* haiN mehram, payaam-e-haqq haiN vohi* mujassam
vohi* mukarram, vohi* mu'azzam, hai un* pe eemaaN har ummati kaa

kamaal-e-Khallaaq zaat un* kee, razaa-e-razzaaq baat un* kee
har ik jihat se hayaat un* kee nisaab-e-kaamil hai muttaqi kaa

sabaa se koi to aaj kah de naved-e-shehr-e-jameel laa de
vagarna gulzaar-e-dil meiN ab to har ek gul kaa hai rang pheekaa

kalaam-e-tafreeq-e-haqq-o-baatil, kiyaa jahaaN ne unheeN* se haasil
haiN jab vohee* rahnumaa-e-manzil to phir kise Khauf gumrahi kaa?

huzoor-e-vaala* ki shaan-e-aqdas ka tazkiraa gar naheeN to 'naadaaN'
na guftgoo kaa hai koi matlab, na koi maqsad hai shaa'iri kaa

Prologue ....


"dil-e-naadaaN tujhe huaa kyaa hai?
aaKhir is dard kee davaa kyaa hai?" [Ghalib]

"दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है?
आख़िर इस दर्द की दवा क्या है?" [ग़ालिब]

" دِلِ ناداں تُجھے ہوا کیا ہے ؟
آخِر اس درد کی دوا کیا ہے؟" (غالِب)٠